Namaste gumaste vanakkam sasria kaal kemcho kemonache
Me huuuu….chalo chodo… aakhir me badaungi me kon hu….tab tak aap sab meri ye kahani suno and not only sunn na sochna b…. In short, sunn- sochiye.
Tho ye kahani hai….. vhn dhooooor dhoooooor, kahi nhi... yhi paas mai kisi na kisi ke ghar mai.
Tho yeh hai Jennifer ki kahani mere lafzon :). Tho chalie….
Lo me tho pohanch gai jennifer k ghar…..chalo seedhe bedroom mai hi chalthe hai….
Hooo…..ye kya ho raha hai……
Jennifer- ye kya baat hui Rahul
Rahul - kya baat
Yhn tho baate ho rhi hai…. Chlo sunte hai kya baate ho rhi hai is pati patni ke beech
Jennifer- jo maa bol rahi hai
Rahul- maa kya bol rhi hai… tum bataogi khulke?
J - maa mujse meri surname change krne keliye bol rhi hu...tum hi ab maa ko smjao….hmne pehle hi decide kia tha na ki… surname kuch change nhi krenge….
R- hn kia tha.. But ab maa bol rhi hai tho krlo na….ese chote cheezon keliye zid kyu krti ho tum
J- me...me zid kr rhi hu…. Aur tumhe ye choti si baat lg rha hai…. Surname change krne keliye bol rhi hai vo…. Aur agr ye choti si baat hai tho tumhi change krlona…..
R- ye kya bol rhi ho tum… lagta hai dimaag kharab hogaya tumhara…. Me kyu change kru
J- arey… kyu ni kr skte ho…. Choti si hi tho baat hai…. Krlo...maa ko b acha lgega
R- tum poori pagal ho chukki ho
J- arey… kya hua….itna kyu hyper ho rahe ho
R- aur nhi tho kya kru…..tum ese impossible baate kr rhi ho
J- IMPOSSIBLE…. Like seriously
R- hn…kon ladke apna surname change krta hai
J- kon aur ladke ka kya matlab
R- yhi ki ye sab tum ladkiyon ko karna chahiye….beebi ho….adjust kro
J- iska kya matlab....beebi hu…. tho adjust karna hai…. Ye kahan likha hai….tu bi tho adjust kr sakta hai
R- tum ye bethukhi baate kyu kr rhi ho… suno agr maa ne surname change krne keliye bola hai tho krlo...bs… unhone kuch sochke hi bola hoga….hamse zyaada duniya dekhi hai maa ne
J- hn maanti hu… but iska matlab ye tho nhi hai na me apna surname change krdu
r- dekho jenni… muje ab iske baare mai koi baat nhi krni hai…. Agr maa ne change krne keliye bola hai tho change krdo… nhi tho tum apne ghar jaa skti ho
J- kya? Are u serious rahul…. Surname change na karu tho apne ghar chali jau
R- hn…. Kyunki me tang aa gaya hu tumhare ye roz ke nakhre se
J- oooh
Ufff…. Ye kitna ladte hai…. Sorry sorry unke ladne k beech mai hi bol padi but aap log hi socho….wait wait…. Pehle aap logon se baat kya hai vo batathi hu… vo kya hai ki jennifer aur rahul ek dusre se pyaar krte the.. Dhono ke religion alag hai tho toda problems tho hui unke shaaadi mai but ab sab sort ho gaya hai… ese muje lg rha tha….
But ab ….
Chalo chodo…. Vaise patha hai ye log ek surname change karne keliye lad rehe hai….
Jennifer ek form fill kr rhi thi… tabi rahul k mom ne uska naam dekhlia aur boldia ki uska surname change kardo.
And ab ye dhono iss baat par ladh rahe hai…
Ooh…. yeh kahan chala gaya…. Pta nhi…. Chlo
Uuuuhhuuu…. Ye dekho…. Rahul ki mom ne sab sunlia...pta nhi ab kya hoga
Rahul’s mom- ye ladki mere bete ko uski naukar bana rahi hai… abhi iski maa ko fon karke poochthi hu…. Kaise bada kia hai iss ladki ko
Siyapa
Lo yahan tho world war shuru hone ki tayari chal rahi hai….
Jennifer’s mom- namaste samdhan ji…. Kaise ho aap
RM - namaste vamaste chodie… aur apni beti ko kuch sikhaie…. Kaisi ladki hai ye…
JM- kya hua ji…. Kya kia meri beti ne
RM- kya nhi kia poocho iss ladki ne…..pehele tho mere bete ko fasaya aur ab mere bete ko naukar banake maa bete ke beech dharaar paida krne ki soch rhi hai apki laadli
JM- ye kya bol rhi hai aap… zarur kuch galath faahmi hui hai… meri beti ese bilkul nhi hai
RM- aapke beti kaisi hai hame bohot ache ese patha hai… 2 mahine se ham hi tho usse seh rahe hai…. Aap uski maa hokar usse kuch sikha hi nhi skki….
JM- ese nhi hai samdhan ji… meri beti bht achi hai
RM- hn hn bht achi hai… ghar ko thodne mai….aur sunie… aap apni beti ko samja dijie…. Nhi tho le jaie apne ghar…. Aur vahin pr rakhlo aapki raaj dulhaari ko
JM- ese math bolie samdhan ji… me abhi vahan aake usse samjadungi….
RM- teek hai jldi aaie aur smjao kch usse…. Adjust krne keliye bolo usse
JM- ji ji
Lo chingari toh lag gayi ab ye aag kaise aur kahan kahan failenge…. Bhagwaan hi jaane
Lo chali me chali…. Par yahan…. rahul ki mom chli :)
Ab kahan chal rhi hai kya patha…..
O god ye tho kadus singh k paas jaa rhi hai….
Yhi soch rehe honge na ki ab ye kaadus singh kon hai…. Arey aur koi nhi unki husband hai….yaahi rahul ki pitashree aur jennifer k sasur.
Aur kadus singh me bhulathi hu…. Kyunki inka gussa inke sirf naak mai hi nhi poore body mai baita hai… bina tym dekha bas bharas jaatha hai…. Ab patha nhi kya hi hoga
RM- aji sunie…
Rahul’s dad - hn bolo
RM- aapko pata hai.. Aaj uss ladki ne kya kara hai
RD- ab iss ladki ne kya naya tamasha shuru kar diya
RM- yhi ki vo hamare bete ko naukar banana chahta hai…
RD- mere bete ko naukar…. Vaise b tho naukar hi bana padha hai...tumhari parvarish ki vajah se…. Utake le aagaya
RM- par…. Aaj uss jennifer ne tho hadh hi kardia
RD- esa kya hua
RM- vo apna kuch form bhar rahi thi tho mene bas usse itna boldia ki ab uska shaadi hogai hai tho usse apna surname change kar dena chahiye…. Lekin iss lakdi ne tho jaake mere khilaaf mere bete ka khaan bharna shuru krdia aur bolna lgi ki vhi apna surname kyu nhi change kar detha…
RD- kya….kal ki aai hui iss ladki ki itni himmat ki vo mere sher k surname change krvaegi
RM- mmm…. Vaise mene uski maa se fon pe baat krli hai…. Vo aathi hi hogi
Hey bhagwan…. Ab kya hi hoga yhn pr…. Ye tho world war se b bhayankar lag reha hai….. Vaise aap logon kya lg rha hai… jennifer k kya stand hogi… kya vo change kregi ya nhi….
Mm….aap log sochie…. Aur baad mai muje bta dena
Lo aa gayi Jenny k maa….
Rahul’s sis - Namaste aunty… kaisi hai aap
JM- namaste beta… me teek hu…. Tum kaisi ho… aur jenny kya kia hai… tumhe kuch patha hai
RS- Di ne…. Kya hua…. Mujhe nhi pta…. Pehle aap baitie tho shi me di ko bhul ke aathi hu
JM - theek hai beta
JM- Namaste samdhi ji…. Kaise hai aap
RD - hamare haal chaal poochne se pehle aap jaake apne beti ko shi keejie… tabi iss ghar mai shanti hogi
JM - ji me usse samjathi hu… ab vo esa kuch nahi karegi
Oo… ye b shi hai… ye tho sarv gyaani nikhali…. Bina kisi ke bathae jaan gae…. Maa ho tho esi
RM- tho aap aa hi gai….
JM- ji… namaste…. Jenny kahan hai…
RM- uske kamre mai hi hai… jaiye jaake samjhaiye aap usse kuch
JM - ji...me abhi jaake usse samjhathi hu
Lo chali ab jeeny ki maa chali…
Oohoo saath mai chliii… rahul ki maa b
Muje tho shayar ban jaana chahiye….
Chalo Ab unki baate suntlete hai
J- mom… aap kab aaye
JM- kuch der hogya hai…… beti me ye kya sunn rhi hu… tune esa kya krdia hai ki sab tujse itna gusse mai hai
J- mene… mene tho kuch nhi kia tha…..kya ho gaya mom… kya baat hai
JM- tumne rahul k maa ko naaraz kiya tha kya??
J- maa ko naaraz…. Nhi tho
RM- tum ab jhutt b bolna shuru kardia
J- maa.. Mene jhut kya bola… mene aapko kab naaraz kia
RM- tho iska matlab.. Tu apna surname change karne keliye maan gai
J- surname…. Nhi me change nhi kr rhi hu..
RM- dekha… samdhan ji aapne… kaise aapke beti muje neeche dikhathi hai
JM- ye kya kr rhi ho jenny tum
J- mom… aap ko patha b hai kya hua hai….maa meri surname change karna chahti hai…aur rahul ko b patha nhi kya hogya, vo b yhi bol rha hai
RM- hn tho fir kya…. Teri baat maan tha vo
JM- shi hi tho bol rehe hai sab…. Beta ab tumhari shaadi haogai hai tho ese chote chote baaton keliye zid nhi karna chahiye
J- mom… ye aapko choti si baat lgti hai kya… like seriously….
JM- hn beta… sab karthe hai… shaadi ke baad sasural hi lakdi ka sab hotha hai… tumhe unke baat maanke hi rehna chahiye
RM- hn hn… samjhaiye isse kuch
RS- aur samajhna b kyu chahiye mom
RM- laado.. Ye sab tum abhi nhi samjogi…. Jab tumhari shaadi hogi tab samaj aaegi tumhe
RS- mom meri shaadi nhi hui k ye matlab tho nhi hai na ki me inn sabke baare mai nhi bol skti
RM- dekho… tumhari beti ne tho meri beti ko b nhi choda… patha nhi kya kya patti padai hai mere dhono bachon ko….. Mere bete ka tho zindagi barbaad kr hi dia…. Ab meri beti ko b naukar bana rahi hai
RS- mom, di ne kuch nhi bola… me tho aapke baaton ke vajah se boli…. Aaplog di ko kyu force kr rehe hai surname change krne keliye…
JM- beta… saari ladkiyon ko karna chahiye
RS- kyu? Ye kis rule book mai likha hai
Aur ye maara sixer…..vaah me tho rahul k sister ki fan ho gai….kya baat khi hai….maza aa gaya….
Oops…. Sorry…. Firse aa gai na me ladai k beech….
Sorry sorry….. Continue sunnsochna
RM- hey bhagwaan…. Mere ghar ko jala ke hi ye ladki maanegi
JM- jenny beta maan jao na….meri khaatir….tumhari ye zid meri parvarish par ungali utaegi….mene to tumhe ye sanskaar nhi di hai na beta
J- mamma aap ye kya keh rhi ho…. Ismai parvarish aur sanskaar kahan se aagaya
JM- agar tum ese hi kroge tho mere parvarish par hi tho ungli utega….aur ese hone se pehle tum muje maar hi daalo
J- mamma aap ye kya bol rahi hai
JM- aur nhi tho kya bolu… jiss maa ki beti tum jaisi ho… usse tho zeher khaake mar hi jaana chahiye
J- mamma aap ese math bolie...me apna surname change krungi
Lo ye b pighal gai….vaise ye emotional blackmail sahi hai na baat manvaane keliye…
RM- kya… tum maan gai
J- hn maa…. Me apna surname change krungi
RD- bohot sahi faisla kia hai tumne… tumhari maa ke aane k kuch tho faayda hua
R- tum apna surname change kr rhi ho
J- yahi toh sab chahte hai…. Tho mene hn krdia
R- bahut sahi decision liya hai tumne jenny…. I’m proud of u
RS- but i’m not di… aapne fight krna kyu chod dia di
J- jab apne hi gharvale against ho jae tho ham haar hi jaathe hai… tum abhi nhi samjogi
RS- di aap shi nhi kr rhi ho… me aapke saath hu… aap ye decision ek aur baar sochke le leejie please
J- nhi yr… mene decide krlia...me change kar rahi hu
RM- aur bahut sahi decision liya hai tumne beta
Kya abhi mene vhi suna hai jo aapne suna….rahul ki mom ne jenny ko beta kaha...kya baat hai… galath karne par itna pyaar… kya baat hai
Chalo ye tha jenny k kahani mere lafso…. Ye sirf jenny ki nhi ham mai se kahiyon ke paas ese bohot scenes chalte hai… jisse ham ya tho ignore kr dete hai ya society ese hi chalthi hai sochke chod dete hai
Women empowerment, beti bachao beti padhao….ese bohot saare programmes government ne tho nikhala hai… lekin aaj b logon ka mindset change nhi hua…
Khaash... swachh bharat abhiyaan k tarah koi swachh mindset abhiyaan b ho tho bdia hotha….
Ab hamare paas tho dho hi option hai ya tho rahul ki sis k tarah mindset change krna ya fir baaki ghar vaalon k tarah ussi mindset k saat jeena aur jaise jennifer ko emotional blackmail kia hai vaise hi krte jeena….decision aapka hai…
Vaise inn sab ke beech mai mene apne baare mai tho kuch bola hi nhi…. Vaise me hu aap sab ki laadli….aapki pyaari oxi yaani ki hava…. Vaise ek aur baat jab aap apne minset change karoge na tab ho ske tho muje clean rakhne k mindset b build kar lena toda
Chalo ab me chlti hu kisi aur ke paas… aur aap sabko sunnsochne k naye baathon ko lekhe baad mai aathi hu.. Tab tak keliye…. Sukhi rehe… corona bhai se dhur rahie… mask pehenie… saare preventive measures leejie aur safe nd khush rahie…..bye.